Balaa se hain jo ye pesh-e-nazar dar-o-deewar
Nigah-e-shauq ko hain bal-o-par dar-o-deewar
Wufur-e-ashq ne kashane ka kiye ye rang
Ki ho gae mere deewar-o-dar dar-o-deewar
Nahin hai saaya ki sun kar naved-e-maqdam-e-yar
Gae hain chand qadam pesh-tar dar-o-deewar
Hui hai kis qadar arzani-e-mai-e-jalwa
Ki mast hai tere kuche mei har dar-o-deewar
Jo hai tujhe sar-e-sauda-e-intezaar to aa
Ki hain dukan-e-mata-e-nazar dar-o-deewar
Hujum-e-girya ka saman kab kiya meine
Ki gir pade na mere paanv par dar-o-deewar
Wo aa raha mere ham-sae mei to saae se
Huwe fida dar-o-deewar par dar-o-deewar
Nazar mei khatke hai bin tere ghar ki abadi
Hamesha rote hain ham dekh kar dar-o-deewar
Na puch be-khudi-e-aish-e-maqdam-e-sailaab
Ki nachte hain pade sar-ba-sar dar-o-deewar
Na kah kisi se ki 'Ghalib' nahin zamane mei
Harif-e-raz-e-mohabbat magar dar-o-deewar

