Sunday, 23 September 2018

BAAGH PA KAR KHAFAQANI YE DARATA HAI MUJHE


Baagh pa kar khafaqani ye darata hai mujhe
Saya-e-shakh-e-gul afi nazar aata hai mujhe

Jauhar-e-tegh ba-sar-chashma-e-digar maalum
Hun mae wo sabza ki zahrab ugata hai mujhe

Mudda mahv-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai
Aaina-khana mei koi liye jaata hai mujhe

Naala sarmaya-e-yak-alam o aalam kaf-e-khak
Asman baiza-e-quamri nazar aata hai mujhe

Zindagi mei to wo mahfil se utha dete the
Dekhun ab mar gae par kaun uthata hai mujhe

Baagh tujh bin gul-e-nargis se darata hai mujhe
Chahun gar saer-e-chaman aankh dikhata hai mujhe

Shor-e-timsal hai kis rashk-e-chaman ka ya rab
Aaina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe

Hairat-e-aaina anjam-e-junun hun jyun shama
Kis qadar dagh-e-jigar shola uthata hai mujhe

Mae hun aur hairat-e-javed magar zauq-e-khayal
Ba-fusan-e-nigah-e-naz satata hai mujhe

Hairat-e-fiqr-e-sukhan saz-e-salamat hai 'Asad'
Dil pas-e-zanu-e-aaina bithata hai mujhe
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.