Sunday, 23 September 2018

SUBHA TAIBA MEI HUI BATTA HAI BARA NOOR KA


Subha Taiba mei hui batta hai bara Noor ka
Sadqa lene noor ka aaya hai tara Noor ka

Teri nasl-e-paak mei hain Bachcha bachcha Noor ka
Tu hai aine Noor tera sab gharana Noor ka

Mae gada tu baadshah bharde piyala Noor ka
Noor din duna tera de daal sadqa Noor ka

Baaghe taiba mei suhana phool phoola Noor ka
Mast bu hai bulbule padhti hain qalma Noor ka

Baarhwi ke chaand ka mujra hai sajda Noor ka
Baarah burjo se jhuka ek ek sitara Noor ka

Unke kasre kadr se khuld ek kamra Noor ka
Sidra paai baagh mei nanha sa paudha Noor ka

Aai bidaat chayi zulmat rang badla Noor ka
Maahe sunnat mehre talaat le le badla Noor ka

Tere hi maathe raha ay jaan sehra Noor ka
Waqt jaanga Noor ka chamka sitara Noor ka

Pusht par dhalka sar-e-Anwar se shimla Noor ka
Dekhe Moosa tur se utra Sahifa Noor ka

Pech karta hai Fida hone ka lamha Noor ka
Gird-e-sar phirne ko banta hai imamah Noor ka

Kya bana naam-e-khuda asra ka dulha Noor ka
Sar pe sehra Noor ka bar mei shahana Noor ka

Wasf-e-rukh mei gati hainhoore tarana Noor ka
Qudrati binau mei bajta hai lehra Noor ka

Taaj waale dekh kar tere imama Noor ka
Sar jhukate hain Ilahi bol baala Noor ka

Shama dil mishkaat tan seena zujaja Noor ka
Teri surat ke liye aaya hai sura Noor ka

Tere aage khaaq par jhukta hai Maatha Noor ka
Noor ne paaya tere sajde se seema Noor ka

Tu hai saaya Noor ka har azwa tukda Noor ka
Saaye ka na saaya hota hai na saaya Noor ka

Naariyon ka daur tha dil jal raha tha Noor ka
(Ae Umar) Tumko dekha ho gaya thanda kaleja Noor ka

Jo gada dekho liye jata hai toda Noor ka
Noor ki sarkaar hai kya isme toda Noor ka

Bheek le sarkaar se la jald kaasa Noor ka
Maahe nau taiba mei batta hai Mahina Noor ka

Noor ki sarkaar se paaya do-shala Noor ka
Ho mubarak tumko zunnurain Joda Noor ka

Tab mehr hashr se chaunke na khushtah Noor ka
Bhundiya rehmat ki dene aay chinta Noor ka

Aankh  mil sakti nahi dar par hai pehra Noor ka
Taab hain be-hukm par maare parinda Noor ka

Chaand jhuk jaata jidhar ungli tha de mahd mei
Kya hi chalta tha isharo par khilona Noor ka

Ek seene tak mushabe, ek wahan se paaon tak
Husn-e-Sibtain unke jamaun mei hain Nima Noor ka

Kaaf Gesu haa dahan ya abru aankhne ain swaad
Kaaf haa ya aain swaad unka hain chehra Noor ka

Ay 'Raza' ye Ahmad e Noori ka faize Noor hai
Ho gayi meri ghazal badh kar qaseedah Noor ka
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.