Ae ku-e-yar tere zamane guzar gaye
Jo apne ghar se aae the wo apne ghar gaye
Ab kaun zakhm-o-zahr se rakhega silsila
Jeene ki ab hawas hai hamen ham to mar gaye
Ab kya kahun ki saara mohalla hai sharmsaar
Mae hun azaab mei ki mere zakhm bhar gaye
Ham se bhi zindagi ko tamasha bana diya
Us se guzar gaye kabhi khud se guzar gaye
Tha ran bhi zindagi ka ajab turfa majra
Yaani uthe to paanv magar 'Jaun' sar gaye

