Sunday, 23 September 2018

AAINA DEKH APNA SA MUH LE KE RAH GAYE


Aaina dekh apna sa muh le ke rah gaye
Sahab ko dil na dene pe kitna ghurur tha

Qasid ko apne haath se gardan na mariye
us ki khata nahi hai ye mera qusur tha

Zof-e-junoon ko waqt-e-tapish dar bhi dur tha
Ek ghar mei mukhtasar bayaban zarur tha

Ae vae-ghaflat hai barq ko ab jis ke naam se
har paara sand lakht-e-dil-e-koh-e-tur tha

Dars-e-tapish hai barq ko ab jis ke naam se
Wo dil hai ye ki jis ka takhallus subur tha

Har rang mei jala 'Asad'-e-fitna-intezaar
parwana-e-tajalli-e-shaam-e-zuhur tha

Shayad ki mar gya tere rukhsar dekh kar
Paemana raat maah ka labraz-e-nur tha

Jannat hai tegh ke kushton ki muntazir
Jauhar savad-e-jalva-e-mizhgaan-e-hur tha
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.