Bazm-e-shahansha mei ashaar ka daftar khula
Rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula
Shab hui phir anjuman-e-rakhshanda ka manzar khula
Is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula
Garche hun deewana par kyun dost ka khaaun fareb
Aastin mei dashna pinhan haath mei nashtar khula
Go na samjhun us ki baaten go na paaun us ka bhed
Par ye kya kam hai ki muh se wo pari-paikar khula
Hai khayal-e-husn mei husn-e-amal ka sa khayal
Khuld ka ek dar hai meri gor ke andar khula
Muh na khulne par hai wo aalam ki dekha hi nahin
Zulf se badh kar naqab us shokh ke muh par khula
Dar pe rahne ko kahan aur keh ke kaesa phir gaya
Jitne arse mei mera lipta huwa bistar khula
Kyun andheri hai shab-e-gham hai baalon ka nuzul
Aaj udhar hi ko rahega dida-e-akhtar khula
Kya rahun ghurbat mei khush jab ho hawadis ka ye haal
Naama laata hai watan se nama-bar aksar khula
Us ki ummat mei hun mae mere rahen kyun kaam band
Waste jis shah ke 'Ghalib' gumbad-e-be-dar khula

