Be-etidaliyon se subuk sab mei ham huwe
Jitne ziyada ho gaye utne hi kam huwe
Pinhan tha daam sakht qarib ashiyan ke
Udne na paae the ki giraftar ham huwe
Hasti hamari apni fana par dalil hai
Yahan tak mite ki aap ham apni qasam huwe
Sakhti kashan-e-ishq ki puchche hai kya khabar
Wo log rafta rafta sarapa alam huwe
Teri wafa se kya ho talafi ki dahr mei
Tere siwa bhi ham pe bohot se sitam huwe
Likhte rahe junoon ki hikayat-e-khoon-chakan
Har-chand is mei haath hamare qalam huwe
Allah re teri tundi-e-khu jis ke beem se
Ajza-e-nala dil mei mere rizq-e-ham huwe
Ahl-e-hawas ki fath hai tark-e-nabard-e-ishq
Jo paanv uth gaye wahi un ke alam huwe
Naale adam mei chand hamare supurd the
Jo wahan na khinch sake so wo yahan aa ke dam huwe
Chhodi 'Asad' na ham ne gadai mei dil-lagi
Saail huwe to ashiq-e-ahl-e-karam huwe

