Bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
Hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
Ek khel aur aurang-e-sulaiman mere nazdik
Ek baat hai ejaz-e-masiha mere aage
Juz naam nahin surat-e-alam mujhe manzur
Juz vahm nahin hasti-e-ashiya mere aage
Hota hai nihan gard mei sahra mere hote
Ghista hai jabin khaak pe dariya mere aage
Mat puchh ki kya haal hai mera tere piche
Tu dekh ki kya rang hai tera mere aage
Sach kahte ho khud-bin o khud-ara hun na kyun hun
Baitha hai but-e-aaina-seema mere aage
Phir dekhiye andaz-e-gul-afshani-e-guftar
Rakh de koi paimana-e-sahba mere aage
Nafrat ka guman guzre hai mae rashk se guzra
Kyukar kahun lo naam na un ka mere aage
Imaan mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr
Kaaba mere piche hai kalisa mere aage
Aashiq hun pa mashuk-farebi hai mera kaam
Mujnun ko bura kahti hai Laila mere aage
Khush hote hain par vasl mei yun mar nahin jaate
Aai shab-e-hijran ki tamanna mere aage
Hai maujzan ek qulzum-e-khoon kaash yahi ho
Aata hai abhi dekhiye kya kya mere aage
Go haath ko jumbish nahin aankhon mei to dam hai
Rahne do abhi saghar-o-meena mere aage
Ham-pesh o ham-mashrab o hamraz hai mera
'Ghalib' ko bura kyun kaho achchha mere aage

