Arz-e-niyaaz-e-ishq ke qabil nahin raha
Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahin raha
Jaata hun dagh-e-hasrat-e-hasti liye huwe
Hun sham-e-kushta dar-khur-e-mahfil nahin raha
Marne ki ai dil aur hi tadbir kar ki mae
Shayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahin raha
Bar-ru-e-shash-jahat dar-e-aaina baaz hai
Yahan imtiyaz-e-naqis-o-kamil nahin raha
Wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husn
Ghaer-az-nigah ab koi haail nahin raha
Go mae raha rahin-e-sitam-ha-e-rozgaar
Lekin tere khayal se ghafil nahin raha
Dil se hava-e-kisht-e-wafa mit gai ki waan
Haasil siwae hasrat-e-hasil nahin raha
Bedad-e-ishq se nahin darta magar 'Asad'
Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahin raha
Har-chaan mae hun tuti-e-shirin-sukhan wale
Aaina aah mere muqabil nahin raha
Jan-dad-gan ka hausla fursat-gudaz hai
Yahan arsa-e-tapidan-e-bismil nahin raha
Hun qatra-zan ba-vadi-e-hasrat shabana roz
Juz tar-e-ashq jada-e-manzil nahin raha
Ai aah meri khatir-e-wabasta ke siwa
Duniya mei koi uqda-e-mushkil nahin raha
Andaz-e-nala yaad hain sab mujh ko par 'Asad'
Jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahin raha

