Bas-ki dushwaar hai har kaam ka aasaan hona
Aadmi ko bhi mayassar nahin insaan hona
Girya chahe hai kharabi mere kashaane ki
Dar-o-deewar se tapke hai bayaban hone
Va-e-deewangi-e-shauq ki har dam mujh ko
Aap jaana udhar aur aap hi hairan hona
Jalva az-bas-ki taqaza-e-nigah karta hai
Jauhar-e-aaina bhi chahe hai mizhgan hona
Ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh
Id-e-nazara hai shamshir ka uryan hona
Le gaye khaak mei ham daagh-e-tamanna-e-nashat
tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistan hona
Ishrat-e-para-e-dil zakhm-e-tamanna khana
Lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e-namak-dan hona
Ki mere qatl ke baad us ne jafa se tauba
Haae us zud-pashiman ka pasheman hona
Haif us chaar girah kapde ki qismat 'Ghalib'
Jis ki qismat mei ho ashiq ka gareban hona

