Barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye
Khil gayi manind-e-gul sau ja se deewar-e-chaman
Ulfat-e-gul se ghalat hai dawa-e-varastagi
Sarv hai ba-vasf-e-azadi giraftar-e-chaman
Saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzar-e-chaman
Janasheen-e-jauhar-e-aaina hai khar-e-chaman
Hai nazakat bas ki fasl-e-gul mei meamar-e-chaman
Qalib-e-gul mei dhali hai khisht-e-deewar-e-chaman
Teri araish ka istiqbal karti hai bahar
Jauhar-e-aaina hai yahan naqsh-e-ehzar-e-chaman
Bas ki paai yaar ki rangin-adaai se shikast
Hai kulah-e-naz-e-gul bar taq-e-deewar-e-chaman
Waqt hai gar bulbul-e-miskin zulekhai kare
Yusuf-e-gul jalva-farma hai ba-bazar-e-chaman
Vahshat-afza girya-ha mauquf-e-fasl-e-gul 'Asad'
Chashm-e-dariya-rez hai mizab-e-sarkar-e-chaman

