Bada ehsaan ham farma rahe hain
Ki un ke khat unhen lauta rahe hain
Nahin tark-e-mohabbat par wo raazi
Qayamat hai ki ham samjha rahe hain
Yaqin ka rasta tai karne waale
Bohot tezi se wapas aa rahe hain
Ye mat bhulo ki ye lamhat ham ko
Bichhadne ke liye milva rahe hain
Taajjub hai ki ishq-o-ashiqui se
Abhi kuchh log dhoka kha rahe hain
tumhe chahenge jab chhin jaogi tum
Ab ham tum ko arzan pa rahe hain
Kisi surat unhen nafrat ho ham se
Ham pane aib khud ginva rahe hain
Wo pagal mast hai apni wafa mei
Meri ankhon mei aansu aa rahe hain
Daliyon se oose qaail kiya tha
Dalilen de ke ab pachhta rahe hain
Teri banhon se hijrat karne waale
Naae mahaul mei ghabra rahe hain
Ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-raham
Tere aansu mujhe rulva rahe hain
Ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
Ham apna jaan kar thukra rahe hain
Vafa ki yadgaren tak na hongi
Meri jaan bas koi din ja rahe hain

