Friday, 28 September 2018

BAAT KOI UMMEED KI MUJH SE NAHIN KAHI GAYI


Baat koi ummeed ki mujh se nahin kahi gayi
So mere khwaab bhi gae so meri neend bhi gayi

Dil ka tha ek mudda jis ne tabah kar diya
Dil mei thi ek hi to baat wo jo faqat sahi gayi

Janiye kya talash thi 'Jaun' mere wajud mei
Jis ko maen dhundhta gaya jo mujhe dhundhti gayi

Ek khushi ka haal hai khush-sukhanan ke darmiyan
Izzat-e-shaeqin-e-gham thi jo rahi-sahi gayi

Bud-o-nabud ki tamiz ek azaab thi ki thi
Yaani tamam zindagi dhund mei dubti gayi

Us ke jamal ka tha din mera wajud aur phir
Subh se dhoop bhi gayi raat se chandni gayi

Jab maen tha shahr zaat ka tha mera har-nafas zaab
Phir maen wahan ka tha jahan halat-e-zat bhi gayi

Gard-fashan hun dasht mei sina-zanan hun shahr mei
Thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gayi

Tum ne bohot sharab pi us ka sabhi ko dukh hai 'Jaun'
Aur jo dukh hai wo ye hai tum ko sharab pi gayi
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.