Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Aur ham hain ki naam kar rahe hain
Tegh-bazi ka shauq apni jagah
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain
Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun
Ham to khud se kalam kar rahe hain
Ham hain masruf-e-intizam magar
Jaane kya intizaam kar rahe hain
Hai wo bechargi ka haal ki ham
Har kisi ko salam kar rahe hain
Ek qattala chahiye ham ko
Ham ye aelaam-e-aam kar rahe hain
Kya bhala saghar-e-sifal ki ham
Naf-pyale ko jaam kar rahe hain
Ham to aae the arz-e-matlab ko
Aur wo ehtiram kar rahe hain
Na uthe aah ka dhuaan bhi ki wo
Ku-e-dil mei khiram kar rahe hain
Us ke honton pe rakh ke honth apne
Baat hi ham tamam kar rahe hain
Ham ajab hain ki us ke kuche mei
Be-sabab dhum-dham kar rahe hain

