Ae subah mae ab kahan raha hun
Khwabon hi mei sarf ho chuka hun
Sab mere bagaer mutmaiin hon
Mae sab ke bagaer ji raha hun
Kya hai jo badal gayi hai duniya
Mae bhi to bohot badal gaya hun
Go apne hazaar naam rakh lun
Par apne siwa mae aur kya hun
Mae jurm ka etiraaf kar ke
Kuch aur hai jo chhupa gaya hun
Mae aur faqat oosi ki khwahish
Akhlaaq mei jhuut bolta hun
Ek shakhs jo mujh se waqt le kar
Aaj aa na saka to khush huwa hun
Har shakhs se be-niyaaz ho ja
Phir sab se ye kah ki mae khuda hun
Charke to tujhe diye hain maene
Par khoon bhi mae hi thukta hun
Roya hun to apne doston mei
Par tujh se to hans ke hi mila hun
Ae shakhs mae teri justuju se
Bezaar nahin hun thak gaya hun
Mae shaam-e-sahar ka naghma-gar tha
Ab thak ke karaahne laga hun
Kal par hi rakho wafaa ki baaten
Maen aaj bohot bojha huwa hun
Koi bhi nahin hai mujh se nadim
Bas tae ye huwa ki mae bura hun

