Sunday, 23 September 2018

AMAD-E-KHAT SE HUWA HAI SARD JO BAZAR-E-DOST


Amad-e-khat se huwa hai sard jo bazar-e-dost
Dud-e-shaam-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost

Ai dil-e-na-aqibat-andesh zabt-e-shauq kar
Kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didaar-e-dost

Khana-viran-sazi-e-hairat tamasha kijiye
Surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost

Ishq mei bedad-e-rashk-e-ghaer na maara mujhe
Kushta-e-dushman hun aakhir garche tha bimaar-e-dost

Chashm-e-ma raushan ki us bedard ka dil shaad hai
Dida-e-pur-khun hamara saghar-e-sarshar-e-dost

Ghaer yun karta hai meri pursish us ke hijr mei
Be-takalluf dost ho jaese koi gham-khvar-e-dost

Taaki mei janun ki hai us ki rasai waan talak
Mujh ko deta hai payam-e-wada-e-didar-e-dost

Jab ki maen karta hun apna shikva-e-zof-e-dimaagh
Sar kare hai wo hadis-e-zulf-e-ambar-bar-e-dost

Chupke chupke mujh ko rote dekh paata hai agar
Hans ke karta hai bayan-e-shokhi-e-guftar-e-dost

Meherbani-ha-e-dushman ki shikayat kijiye
Ta bayan kije sipas-e-lazzat-e-azar-e-dost

Ye ghazal apni mujhe ji se pasand aati hai aap
Hai radif-e-sher mei 'Galib' zi-bas takraar-e-dost

Chashm-e-band-e-khalq juz timsal-e-khud-bini nahin
Aaina hai qalib-e-khisht-e-dar-o-divaar-e-dost

Barq-e-khirman-zar gauhar hai nigah-e-tez yahan
Ashq ho jaate hain khushk az-garmi-e-raftar-e-dost

Hai sava neze pe us ke qamat-e-nau-khez se
Aftab-e-subh-e-mahshar hai gul-e-dastar-e-dost

Aai adu-e-maslahat chaand ba-zabt afsurda raah
Kardani hai jama tab-e-shokhi-e-didar-e-dost

laghzishat-e-mastana o josh-e-tamasha hai 'Asad'
Atish-e-mae se bahar-e-garmi-e-bazar-e-dost
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.