Aamad-e-sailab-e-tufaan-e-sada-e-ab hai
Naqsh-e-pa jo kaan mei rakhta hai ungli jaada se
Bazm-e-mae vahshat-kada hai kis ki chashm-e-mast ka
Shishe mei nabz-e-pari pinhan hai mauj-e-bada se
Dekhta hun vahshat-e-shauq-e-kharosh-amada se
Fal-e-ruswai sirishk-e-sar-ba-sahra-dada se
Daam gar sabze mei pinhaan kijiye taaus ho
Josh-e-nairang-e-bahar arz-e-sahra-dada se
Khema-e-laila siyah o khana-e-majnu kharab
Josh-e-virani hai ishq-e-dagh-e-bairun-dada se
Bazm-e-hasti wo tamasha hai ki jis ko ham 'Asad'
Dekhte hain chashm-e-az-khwab-e-Adam-nakushada se

