Sunday, 23 September 2018

AAINA KYUN NA DUN KI TAMASHA KAHEN JISE


Aaina kyun na dun ki tamasha kahen jise
Aesa kahan se laaun ki tujh sa kahen jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mei
Gul-dasta-e-nigaah suvaida kahen jise

Phunka hai kis ne gosh-e-mohabbat mei ai khuda
Afsun-e-intezaar tamanna kahen jise

Sar par hujum-e-dard-e-gharibi se daaliye
Wo ek musht-e-khaak ki sahra kahen jise

Hain chashm-e-tar mei hasrat-e-didaar se nihaan
Shauq-e-inaan gusekhta dariya kahen jise

Darkaar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko
Subh-e-bahar pumba-e-meena kahen jise

'Ghalib' bura na maan jo vaaiz bura kahe
Aisa bhi koi hai ki sab achcha kahen jise

Ya rab hamen to khwaab mei bhi mat dikhaaiyo
Ye mahshar-e-khayal ki duniya kahen jise
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.