Ajab halat hamari ho gayi hai
Ye duniya ab tumhari ho gayi hai
Sukhan mera udasi hai sar-e-sham
Jo khamoshi pe taari ho gayi hai
Bohot hi khush hai dil pane kiye par
Zamane-bhar mei khvari ho gayi hai
Wo nazuk-lab hai ab jaane hi vaala
Meri awaaz bhari ho gayi hai
Dil ab duniya pe laanat kar ki is ki
Bohot khidmat-guzari ho gayi hai
Yaqin maazur hai ab aur guman bhi
Badi be-roz-gari ho gayi hai
Wo ek bad-e-shumali-rang jo thi
Shamim us ki savari ho gayi hai
Mere paas aa ke khanjar bhonk de tu
Bohot neza-guzari ho gayi hai

