Aish-e-ummeed hi se khatra hai
Dil ko ab dil-dahi se khatra hai
Hai kuchh aisa ki us ki jalvat mei
Hamen apni kami se khatra hai
Jis ke aghosh ka hun deewana
Us ke aghosh hi se khatra hai
Yaad ki dhoop to hai roz ki baat
Haan mujhe chandni se khatra hai
Hai ajab kuchh moamla darpesh
Aqp ko agahi se khatra hai
Shahr-e-ghaddar jaan le ki tujhe
Ek amrohvi se khatra hai
Hai ajab taur halat-e-girya
Ki mizha ko nami se khatra hai
Hall khuch lucknow ka dilli ka
Bas unhen 'Mushafi' se khatra hai
Asmaanon mei hai khuda tanha
Aur har aadmi se khatra hai
Maen kahun kis tarah ye baat us se
Tujh ko jaanam mujhi se khatra hai
Aaj bhi ai kanar-e-ban mujhe
Teri ek sanvli se khatra hai
Un labon ka lahu na pi jaun
Apni tishna-labi se khatra hai
'Jaun' hi to hai 'Jaun' ke darpai
'Meer' to 'Meer' hi se khatra hai
Ab nahin koi baat khatre ki
Ab sabhi ko sabhi se khatra hai

