Friday, 28 September 2018

AI VASL KUCHH YAHAN NA HUWA KUCHH NAHI HUWA


Ai vasl kuchh yahan na huwa kuchh nahin huwa
Us jism ki maen jaan na huwa kuchh nahin huwa

Tu aaj mere ghar mei jo mehmaan hai Eid hai
Tu ghar ka mezbaan na huwa kuchh nahin huwa

Kholi to hai zaban magar is ki kya bisat
Maen zahr ki dukan na huwa kuchh  nahin huwa

Kya ek karobar tha wo rabt-e-jism-o-jaan
Koi bhi raegan na huwa kuchh nahin huwa

Kitna jala hua hunn bas ab kya bataun maen
Aalam dhuan dhuan na huwa kuchh nahin huwa

Dekha tha jab ki pahle-pahal us ne aaina
Us waqt maen wahan na huwa kuchh nahin huwa

Wo ek jamal jalva-fishan hai zamin zamin
Maen ta-ba-asman na huwa kuchh nahin huwa

Maen ne bas ek nigah mei tai kar liya tujhe
Tu rang-e-bekaran na huwa kuchh nahin huwa

Gum ho ke jaan tu meri aghosh-e-zat mei
Be-nam-o-be-nishan na huwa kuchh nahin huwa

Har koi darmiyan hai aai majra-farosh
Maen apne darmiyan na huwa kuchh nahin huwa

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.