Hairaan hun dil ko rouun ki pitoon jigar ko maen
Maqdur ho to saath rakhun nauhagar ko maen
Chhoda na rashk ne ki tere ghar ka naam lun
Har ek se puchhta hun ki jaun kidhar ko maen
Jaana pada raqib ke dar par haza baar
Ai kaash janta na tere rah-guzar ko maen
Hai kya jo kas ke badhiye meri bala dare
Kya janta nahin hun tumhari kamar ko maen
Lo wo bhi kahte hain ki ye be-nang-o-nam hai
Ye janta agar to lutata na ghar ko maen
Chalta hun thodi dur har ek tez-rau ke saath
Pahchanta nahin hun abhi rahbar ko maen
Khwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar
Kya pujta hun us but-e-bedad-gar ko maen
Apne pe kar raha hun qayas ahl-e-dahr ka
Samjha hun dil-pazir mata-e-humar ko maen
'Ghalib' khuda kare ki savar-e-samand-e-naz
Dekhun ali bahadu-e-ali-guhar ko maen

