Ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-halat karen
Dil thahre to dard sunaen dard thame to baat karen
Shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifan raushan ki
Ghar ko aag lagaen ham bhi raushan apni raat karen
Qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahu apni gardan pe
Mohr-ba-lab baithe hain kis ka shikva kis ke saath karen
Hijr mei shab bhar dard-o-talab ke chand sitare saath rahe
Subh ki virani mei yaaro kaise basar auqaat karen

