Ab ke baras dastur-e-sitam mei kya kya baab izad huwe
Jo qatil the maqtul huwe jo said the ab sayyad huwe
Pahle bhi khizan mei baagh ujde par yun nahin jaise ab ke baras
Saare buute patta ravish ravish barbad huwe
Pahle bhi tavaf-e-sham-e-vafa thi rasm mohabbat walon ki
Ham tum se pahle bhi yahan 'Mansur' huwe 'Farhad' huwe
Ek gul ke murjhane par kya gulshan mei kohram macha
Ek chehra kumhla jaane se kitne dil nashad huwe
'Faiz' na ham 'Yusuf' na koi 'Yaqub' jo ham ko yaad kare
Apni kya kanan mei rahe ya misr mei jo abad huwe

