Wednesday, 26 September 2018

AB WAHI HARF-E-JUNUN SAB KI ZABA THAHRI HAI


Ab wahi harf-e-junun sab ki zaban thahri hai
Jo bhi chal nikli hai wo baat kahan thahri hai

Aaj tak shaikh ke ikram mei jo shai thi haram
Ab wahi dushman-e-din rahat-e-jaan thahri hai

Hai khabar garm ki phirta hai gurezan naseh
Guftugu aaj sar-e-ku-e-butan thahri hai

Hai wahi ariz-e-laila wahi shirin ka dahan
Nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahan thahri hai

Vasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi
Hijr ki shab hai to kya sakht giran thahri hai

Bikhri ek baar to haath aai hai kab mauj-e-shamim
Dil se nikli hai to kab lab pe fughan thahri hai

Aate aate yuhi dam bhar ko ruki hogi bahar
Jaate jaate yuhi pal bhar ko khizan thahri hai

Ham ne jo tarz-e-fughan ki hai qafas mei ijad
'Faiz' gulshan mei wahi tarz-e-bayan thahri hai
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.