Ab aankhon mei khoon dam-ba-dam dekhte hain
Na puchho jo kuchh rang ham dekhte hain
Jo be-akhtyari yahi hai to qasid
Hamin aa ke us ke qadam dekhte hain
Gahe daagh rahta hai dil gar jigar khoon
Un aankhon se kya kya sitam dekhte hain
Agar jaan aankhon mei us bin ha to ham
Abhi aur bhi koi dam dekhte hain
Likhen haal kya us ko hairat se ham to
Gahe kaghaz o gah qalam dekhte hain
Wafa-peshgi qais tak thi bhi kuchh kuchh
Ab us taur ke log kam dekhte hain
Kahan tak bhala rooge 'Meer'-sahib
Ab aankhon ke gird ek varam dekhte hain


No comments
Post a Comment