Aam hukm-e-sharab karta hun
Mohtasib ko kabab karta hun
Tuk to rah aai bina-e-hasti tu
Tujh ko kaesa kharab karta hun
Bahas karta hun ho ke abjad-khwan
Kis qadar be-hisaab karta hun
Koi bujhti hai ye bhadak mei abas
Tishnagi par itaab karta hun
Sar talak ab-e-tegh mei hun gharq
Ab taeen aab aab karta hun
Ji mei phirta hai 'Meer' wo mere
Jagta hun ki khwaab karta hun


No comments
Post a Comment