Aalam mei koi dil ka talabgar na paaya
Is jins ka yahan ham ne kharidaar na paaya
Haq dhundne ka aap ko aata nahi warna
Aalam hai sabhi yaar kahan yaar na paaya
Gaeron hi ke hathon mei rahe dast-e-nigarin
Kab ham ne tere haath se azar na paaya
Jaati hai nazar khas pe gah chashm-paridan
Yahan ham ne par kaah bhi be-kar na paaya
Tasweer ke maanind lage dar hi se guzri
Majlis mei teri ham ne kabhu baar na paaya
Surakh hai seene mei har ek shakhs ke tujh se
Kis dal ke tarah tir-e-nigaah paar na paaya
Marbut hain tujh se bhi yahin na-kas-o-na-ahl
Us baagh mei ham ne gul be-khar na paaya
Aaina bhi haerat se mohabbat ki huwe ham
Par saer ho is shakhs ka didar na paaya
Wo khinch ke shamshir sitam rah gaya jo 'Meer'
Khun-rezi ka yahan koi saza-var na paaya


No comments
Post a Comment