Aao kabhi to paas hamare bhi naaz se
Karna sulook khub hai ahl-e-niyaaz se
Phirte ho kya darakhton ke saae mei dur dur
Kar lo muwafaqat kisi be-barg-o-saz se
Hijran mei us ke zindagi karna bhala na tha
Kotahi jo na howe ye umr-e-daraz se
Maanind-e-subha uqda na dil ke kabhu khule
Ji apna kyun ki uchte na roze namaz se
Karta hai chhed chhed hamara jigar tamam
Wo dekhna tera mizha-e-nim-baz se
Dil par ho ikhtiyaar to hargiz na kariye ishq
Parhez kariye is maraz-e-jan-gudaz se
Aage bichha ke nata ko laate the tegh o tasht
Karte the yaani khoon to ek imtiyaaz se
Maane ho kyun ki girya-e-khuni ke ishq mei
Hai rabt-e-khas chashm ko ifsha-e-raz se
Shayad sharab-khane mei shab ko rahe the 'Meer'
Khele the ek mughbacha mohr-e-namaz se


No comments
Post a Comment