"Aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya"
"Jaese khush-bu-e-zulf-e-bahar aa gayi jaese paigham-e-didaar-e-yaar aa gaya"
"Jis ki did-o-talab vahm samjhe the ham ru-ba-ru phir sa-e-rahguzar aa gaya"
"Subh-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tera eitbaar aa gaya"
"Rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin"
"Zakhm chhalka koi ya koi gul khila ashq umde ki abr-e-bahar aa gaya"
"Khoon-e-ushshaq se jaam bharne lage dil sulagne lage daagh jalne lage"
"Mahfil-e-dard phir rang par aa gayi phir shab-e-arzu par nikhaar aa gaya"
"Sarfaroshi ke andaz badle gaye davat-e-qatl par maqtal-e-shahr mei"
"Daal kar koi gardan mei tauq aa gaya laad kar koi kandhe pe daar aa gaya"
'Faiz' kya janiye yaar kis aas par muntazir hain ki laega koi khabar"
"Mai-kashon par huwa mohtasib mehrbaan dil-figaron pe qatil ko pyaar aa gaya"

