Aage hamare ahd se vahshat ko ja na thi
Deewangi kaso ki bhi zanjeer-e-pa na thi
Begana sa lage hai chaman ab khizan mei haae
Aesi gayi bahar magar aashna na thi
Kab tha ye shor-e-nauha tera ishq jab na tha
Dil tha hamara aage tu matam-sara na thi
Wo aur koi hogi sahar jab hui qubul
Sharminda-e-asar to hamari dua na thi
Aage bhi tere ishq se khinche the dard-o-ranj
Lekin hamari jaan par aesi bala na thi
Dekhe dayar-e-husn ke mei karvaan bohot
Lekin kaso ke paas mata-e-wafa na thi
Aai pari si parda-e-meena se jaam tak
Aankhon mei teri dukhtar-e-raaz kya haya na thi
Is waqt se kya hai mujhe to charagh-e-vaqf
Makhluq jab jahan mei nasim-o-saba na thi
Pazhmurda is qadar hain ki ain shubh ham ko 'Meer'
Tann mei hamare jaan kabu thi bhi ya na thi

