Aae hain 'Meer' muh ko banae khafa se aaj
Shayad bigad gayi hai kuch us bewaja se aaj
Vashud hui na dil ko faqiron ke bhi mile
Khulti nahin girah ye kasu ki dua se aaj
Jeene mei ikhtiyaar nahi warna ham-nashin
Ham chahte hain maut to apni khuda se aaj
Saaqi tuk ek mausam-e-gul ki taraf bhi dekh
Tapka pade hai rang chaman mei hawa se aaj
Tha ji mei us se miliye to kya kya na kahiye 'Meer'
Par kuch kaha gaya na gham-e-dil haya se aaj

