Aabru kya khaak us gul ki ki gulshan mei nahin
Hai garebaan nang-e-pairahan jo daaman mei nahi
Zof se ae girya kuch baaqi mera tann mei nahi
Rang ho kar ud gaya jo khoon ki daaman mei nahi
Ho gaye hain jama ajza-e-nigah-e-aftab
Zarre us ke ghar ki diwaron ke rauzan mei nahin
Kya kahun tarike-e-zindaan-e-gham andher hai
Pamba nur-e-subh se kam jis ke rauzan mei nahin
Raunak-e-hasti hai ishq-e-khaana viraan saaz se
Anjuman be-sharma hai gar barq khirmaan mei nahi
Zakhm silwane se mujh par chara-jui ka hai taan
ghaer samjha hai ki lazat zakhm-e-sozaan mei nahi
Bas-ki hai ham ek bahar-e-naaz ke maare huwe
jalwa-e-gul ke siwa gard apne madfan mei nahi
Qatra qatra ek hayula hai nae nasur ka
khoon bhi zauq-e-dard se farigh mere tann mei nahi
Thi watan mei shaam kya 'Ghalib' ki ho ghurbat mei qadr
Be-takalluf hoon wo musht-e-khaas ki gulkhaan mei nahi

