Wednesday, 28 November 2018

JOSHISH-E-ASHQ SE HUUN AATH PAHR PAANI MEI


Joshish-e-ashq se huun aath pahr paani mei
Garche hote hain bahut khauf-o-khatar paani mei

Zabt-e-girya ne jalaya hai daruna saara
Dil achambha hai ki hai sokhta-tar paani mei

Ab-e-shamshir-e-qayamat hai burinda us ki
Ye gavarai nahin paate hain har paani mei

Tab-e-dariya jo ho ashufta to phir tufan hai
Aah balon ko paraganda na kar paani mei

Gharq ab-e-ashk se huun lek uda jaata huun
Juun samak go ki mere duube hain par paani mei

Mardum-e-dida-e-tar mardum-e-abi hain magar
Rahte hain roz o shab o sham-o-sahar paani mei

Haiat ankhon ki nahin vo rahi rote rote
Ab to girdab se aate hain nazar paani mei

Girya-e-shab se bahut aankh dare hai meri
Paanv rukte hi nahin bar-e-digar paani mei

Fart-e-girya se hua 'Meer' tabah apna jahaz
Takhta paare gae kya janun kidhar paani mei

JO YE DIL HAI TO KYA SAR-ANJAM HOGA


Jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga
Ta-khak bhi khaak aram hoga

Mira-ji to ankhon mei aaya ye sunte
Ki didar bhi ek din aam hoga

Na hoga vo dekha jise kabk tu ne
Vo ik baagh ka sarv-andam hoga

Na nikla kar itna bhi be-parda ghar se
Bahut us mei zalim to badnam hoga

Hazaron ki yaan lag gaiin chhat se ankhen
Tu ai maah kis shab-e-lab-e-bam hoga

Vo kuchh janta hoga zulfon mei phasna
Jo koi asiir ta-dam hoga

Jigar chaki nakami duniya hai akhir
Nahin aae jo 'Meer' kuchh kaam hoga

JO TU HI SANAM HAM SE BE-ZAR HOGA


Jo tu hi sanam ham se be-zar hoga
To jiina hamen apna dushvar hoga

Gham-e-hijr rakkhega be-tab dil ko
Hamen kudhte kudhte kuchh azar hoga

Jo ifrat-e-ulfat hai aisa to ashiq
Koi din mei barson ka bimar hoga

Uchatti mulaqat kab tak rahegi
Kabhu to tah-e-dil se bhi yaar hoga

Tujhe dekh kar lag gaya dil na jaana
Ki us sang-dil se hamen pyaar hoga

Laga karne hijran sakhti se sakhti
Khuda jaane kya akhir-e-kar hoga

Yahi hoga kya hoga 'Meer' hi na honge
Jo tu hoga be-yar gham-khvar hoga

JO MAIN NA HUUN TO KARO TARK NAAZ KARNE KO


Jo main na huun to karo tark naaz karne ko
Koi to chahiye ji bhi niyaz karne ko

Na dekho ghuncha-e-nargis ki or khulte mei
Jo dekho us ki mizha nim-baz karne ko

Na soe niind bhar is tangna mei ta na muue
Ki aah ja na thi pa ke daraz karne ko

Jo be-dimaghi yahi hai to ban chuki apni
Dimagh chahiye har ik se saaz karne ko

Vo garm naaz ho to khalq par tarahhum kar
Pukare aap ajal ehtiraz karne ko

Jo aansu aaven to pi ja ki ta rahe parda
Bala hai chashm-e-tar ifsha-e-raz karne ko

Samand naaz se tere bahut hai arsa tang
Tanik to tark kar is tark taaz karne ko

Basan-e-zar hai mera jism-e-zar saara zard
Asar tamam hai dil ke gudaz karne ko

Hanuz ladke ho tum qadar meri kya jaano
Shuur chahiye hai imtiyaz karne ko

Agarche gul bhi numud us ke rang karta hai
Va-lek chahiye hai munh bhi naaz karne ko

Zyada had se thi tabut-e-'Meer' par kasrat
Hua na vaqt musaid namaz karne ko

JO KAHO TUM SO HAI BAJA SAHAB


Jo kaho tum so hai baja sahab
Ham bure hi sahi bhala sahab

Sada-zehni mei nukta-chin the tum
Ab to hain harf-ashna sahab

Na diya rahm tuk buton ke taiin
Kya kiya haae ye khuda sahab

Bandagi ek apni kya kam hai
Aur kuchh tum se kahiye kya sahab

Mehr-afza hai munh tumhara hi
Kuchh ghazab to nahin hua sahab

Khat ke phatne ka tum se kya shikva
Apne talea ka ye likha sahab

Phir gaiin ankhen tum na aan phire
Dekha tum ko bhi vah-va sahab

Shauq-e-rukh yad-e-lab gham-e-didar
Ji mei kya kya mere raha sahab

Bhuul jaana nahin ghulam ka khuub
Yaad khatir rahe mera sahab

Kin ne sun sher-e-'Meer' ye na kaha
Kahiyo phir haae kya kaha sahab

JO IS SHOR SE 'MEER' ROTA RAHEGA


Jo is shor se 'Meer' rota rahega
To ham-saya kaahe ko sota rahega

Main vo rone vaala jahan se chala hun
Jise abr har saal rota rahega

Mujhe kaam rone se aksar hai naseh
Tu kab tak mere munh ko dhota rahega

Bas ai girya ankhen teri kya nahin hain
Kahan tak jahan ko dubota rahega

Mere dil ne vo naala paida kiya hai
Jaras ke bhi jo hosh khota rahega

Tu yuun galiyan ghair ko shauq se de
Hamen kuchh kahega to hota rahega

Bas ai 'Meer' mizhgan se ponchh ansuon ko
Tu kab tak ye moti pirota rahega

JO DEKHO MERE SHER-E-TAR KI TARAF


Jo dekho mere sher-e-tar ki taraf
To maail na ho phir guhar ki taraf

Koi dad-e-dil aah kis se kare
Har ik hai so us fitna-gar ki taraf

Mohabbat ne shayad ki di dil ko aag
Dhuaan sa hai kuchh is nagar ki taraf

Lagin hain hazaron hi aankhen udhar
Ik ashob hai us ke ghar ki taraf

Bahut rang milta hai dekho kabhu
Hamari taraf se sahar ki taraf

Ba-khud kis ko us tab-e-rukhk ne rakha
Kare kaun shams-o-qamar ki taraf

Na samjha gaya abr kya dekh kar
Hua tha meri chashm-e-tar ki taraf

Tapakta hai palkon se khoon muttasil
Nahin dekhte ham jigar ki taraf

Munasib nahin hal-e-ashiq se sabr
Rakhe hai ye daaru zarar ki taraf

Kise manzil-e-dilkash-e-dahr mei
Nahin miil khatir safar ki taraf

Rag-e-jan kab aati hai ankhon mei 'Meer'
Gae hain mizaj us kamar ki taraf
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.