Yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah
Fasl-e-gul aai imtihan ki tarah
Sehn-e-gulshan mei bahr-e-mushtaqan
Har ravish khinch gai kaman ki tarah
Phir lahu se har ek kasa-e-dagh
Pur hua jam-e-arghavan ki tarah
Yaad aaya junun-e-gum-gashta
Be-talab qarz-e-doston ki tarah
Jaane kis par ho mehrban qatil
Be-sabab marg-e-na-gahan ki tarah
Har sada par lage hain kaan yahan
Dil sambhale raho zaban ki tarah
No comments
Post a Comment