Yad-e-ghazal-chashman zikr-e-saman-azaran
Jab chaha kar liya hai kunj-e-qafas baharon
Ankhon mei dard-mandi honton pe uzr-khvahi
Janana vaar aai sham-e-firaqyara
Namus-e-jan-o-dil ki baazi lagi thi varna
Asan na thi kuchh aisi rah-e-vafa-shi.aran
Mujrim ho khvah koi rahta hai nasehon ka
Ru-e-sukhan hamesha su-e-jigar-figaran
Hai ab bhi vaqt zahid tarmim-e-zuhd kar le
Su-e-haram chala hai amboh-e-bada-khvaran
Shayad qarib pahunchi subh-e-visal hamdam
Mauj-e-saba liye hai khush-bu-e-khush-kinaran
Hai apni kisht-e-viran sarsabz is yaqin se
aaenge is taraf bhi ik roz abr-o-baran
Aaegi 'Faiz' ik din bad-e-bahar le kar
Taslim-e-mai-faroshan paigham-e-mai-gusaran


No comments
Post a Comment