Tuesday 20 November 2018

GARCHE KAB DEKHTE HO PAR DEKHO


Garche kab dekhte ho par dekho
Aarzu hai ki idhar dekho

Ishq kya kya hamen dikhata hai
Aah tum bhi to ik nazar dekho

Yuun araq jalva-gar hai us munh par
Jis tarah oos phool par dekho

Har kharash-e-jabin jarahat hai
Nakhun-e-shauq ka hunar dekho

Thi hamen aarzu lab-e-khandan
So evaz us ke chashm-e-tar dekho

Rang-rafta bhi dil ko khinche hai
Ek shab aur yaan sahar dekho

Dil hua hai taraf mohabbat ka
Khoon ke qatre ka jigar dekho

Pahunche hain ham qarib marne ke
Yaani jaate hain duur agar dekho

Lutf mujh mei bhi hain hazaron 'Meer'
Didani huun jo soch kar dekho

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.