Tuesday 20 November 2018

GAR KUCHH HO DARD AAINA YUUN CHARKH-E-ZISHT MEI


Gar kuchh ho dard aaina yuun charkh-e-zisht mei
In suraton ko sirf kare khak-o-khisht mei

Rakhta hai soz-e-ishq se dozakh mei roz-o-shab
Le jaega ye sokhta-dil kya bahisht mei

Asuda kyun ke huun main ki manind-e-gard-bad
Avargi tamam hai meri sarisht mei

Kab tak kharab sai-e-tavaf-e-haram rahun
Dil ko utha ke baith rahunga kunisht mei

Matam ke huun zamin pe khirman to kya ajab
Hota hai niil charkh ki us sabz kisht mei

Sarmast ham hain ankhon ke dekhe se yaar ki
Kab ye nasha hai dukhtar-e-raz tujh palisht mei

Rindon ke taiin hamesha malamat kare hai tu
Ajaiyo na shaikh kahin hasht-bahisht mei

Naame ko chaak kar ke kare nama-bar ko qatl
Kya ye likha tha 'Meer' mari sar-navisht mei

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.