Dil-o-dimagh hai ab kis ko zindagani ka
Jo koi dam hai to afsos hai javani ka
Agarche umr ke das din ye lab rahe khamosh
Sukhan rahega sada meri kam-zabani ka
Subuk hai aave jo mindil rakh namaz ko shaikh
Raha hai kaun sa ab vaqt sargirani ka
Hazar jaan se qurban be-pari ke hain
Khayal bhi kabhu guzra na par-fishani ka
Phire hai khinche hi talvar mujh pe har-dam to
Ki said huun main teri dushmani jaani ka
Numud kar ke vahin bahr-e-gham mei baith gaya
Kahe to 'Meer' bhi ik bulbula tha paani ka
No comments
Post a Comment