Dil-e-betab aafat hai bala hai
Jigar sab kha gaya ab kya raha hai
Hamara to hai asl-e-muddaa tu
Khuda jaane tera kya muddaa hai
Mohabbat-kushta hain ham yaan kisu paas
Hamara dard ki bhi kuchh dava hai
Haram se dair uth jaana nahin aib
Agar yaan hai khuda vaan bhi khuda hai
Nahin milta sukhan apna kisu se
Hamara guftugu ka dhab juda hai
Koi hai dil khinche jaate hain udhar
Fuzuli hai tajassus ye ki kya hai
Marun main is mei ya rah jaun jiita
Yahi sheva mera mehr-o-vafa hai
Saba udhar gul udhar sarv udhar
Usi ki baagh mei ab to hava hai
Tamasha-kardani hai dagh-e-sina
Ye phuul is takhte mei taaza khila hai
Hazaron un ne aisi kiin adaen
Qayamat jaise ik us ki ada hai
Jagah afsos ki hai baad chande
Abhi to dil hamara bhi baja hai
Jo chupke huun kahe chupke ho kyuun tum
Kaho jo kuchh tumhara muddaa hai
Sukhan kariye to hove harf-zan yuun
Bas ab munh muund le main ne suna hai
Kab us begana-khu to samjhe aalam
Agarche yaar alam-ashna hai
Na aalam mei hai ne aalam se bahar
Par sab aalam se aalam hi juda hai
Laga main gird sar phirne to bola
Tumhara 'Meer' sahib sar-phira hai
No comments
Post a Comment