Zulmat-kade mei mere shab-e-gham ka josh hai
Ik shama hai dalil-e-sahar so khamosh hai
Ne muzhda-e-visal na nazzara-e-jamal
Muddat hui ki ashti-e-chashm-o-gosh hai
Mai ne kiya hai husn-e-khud-ara ko be-hijab
Ai shauq! haan ijazat-e-taslim-e-josh hai
Gauhar ko aqd-e-gardan-e-khuban mei dekhna
Kya auj par sitara-e-gauhar-farosh hai
Didar baada hausla saaqi nigah mast
Bazm-e-khayal mai-kada-e-be-kharosh hai
Ai taaza vardan-e-bisat-e-hava-e-dil
Zinhar agar tumhen havas-e-nae-o-nosh hai
Dekho mujhe jo dida-e-ibrat-nigah ho
Meri suno jo gosh-e-nasihat-e-neosh hai
Saqi-ba-jalva dushman-e-iman-o-agahi
Mutrib ba-naghma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai
Ya shab ko dkehte the ki har gosha-e-bisat
Daman-e-baghban o kaf-e-gul-farosh hai
Luft-e-khiram-e-saqi o zauq-e-sada-e-chang
Ye jannat-e-nigah vo firdaus-e-gosh hai
Ya subh-dam jo dekhiye aa kar to bazm mei
Ne vo surur o soz na josh-o-kharosh hai
Dagh-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui
Ik shama rah gai hai so vo bhi khamosh hai
Aate hain ghaib se ye mazamin khayal mei
'Ghalib' sarir-e-khama nava-e-sarosh hai
No comments
Post a Comment