Maze jahan ke apni nazar mei khaak nahin
Sivae khoon-e-jigar so jigar mei khaak nahin
Magar ghubar huwe par hava uda le jaae
Vagarna taab o tavan bal-o-par mei khaak nahin
Ye kis bahisht-shamail ki aamad aamad hai
Ki ghair-e-jalva-e-gul rahguzar mei khaak nahin
Bhala oose na sahi kuchh mujhi ko raham aata
Asar mere nafas-e-be-asar mei khaak nahin
Khayal-e-jalva-e-gul se kharab hai mai-kash
Sharab-khane ke divar-o-dar mei khaak nahin
Huwa hun ishq ki gharat-gari se sharminda
Sivae hasrat-e-tamir ghar mei khaak nahin
Hamare sher hain ab sirf dil-lagi ke 'Asad'
Khula ki faeda arz-e-hunar mei khaak nahin
No comments
Post a Comment