Zikr us pari-vash ka aur phir bayan apna
Ban gaya raqib akhir tha jo raz-dan apna
Mai vo kyun bohot piite bazm-e-ghair mei ya rab
Aaj hi hua manzur unko imtihan apna
Manzar ik bulandi par aur ham bana sakte
Arsh se udhar hota kaash ke makan apna
De vo jis qadar zillat ham hansi mei talenge
Baare ashna nikla un ka pasban apna
Dard-e-dil likhun kab tak jaaun un ko dikhla duun
Ungliyan figar apni khana khoon-chakan apna
Ghiste ghiste mit jaata aap ne abas badla
Nand-e-sajda se mere sang-e-astan apna
Ta kare na ghammazi kar liya hai dushman ko
Dost ki shikayat mei ham ne ham-zaban apna
Ham kahan ke daan the kis hunar mei yakta the
Be-sabab hua 'Ghalib' dushman asman apna
No comments
Post a Comment