Zikr mera ba-badi bhi use manzur nahin
Ghair ki baat bigad jaae to kuchh duur nahin
Vada-e-sair-e-gulistan hai khusha tale-e-shauq
Muzhda-e-qalt muqaddar hai jo mazkur nahin
Shahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam
Log kahte hain ki hai par hamen manzur nahin
Qatra pana bhi haqiqat mei hai dariya lekin
Ham ko taqlid-e-tunuk-zarfi-e-mansur nahin
Hasrat ai zauq-e-kharabi ki vo taqat na rahi
Ishq-e-pur-arbada ki guun tan-e-ranjur nahin
Main jo kahte hun ki ham lenge qayamat mei tumhen
Kis raunat se vo kahte hain ki ham huur nahin
Zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho
Tu taghaful mei kisi rang se maazur nahin
Saaf durdi-kash-e-paimana-e-jam hain ham log
Vaae vo baada ki afsharda-e-angur nahin
Huun zahuri ke muqabil mei khifai 'Ghalib'
Mere daave pe ye hujjat hai ki mashur nahin
No comments
Post a Comment