Wahi rab hain jisne tujhko hama'ata karaam banaya
Hume bheek maange ko, tera aastaan bataya
Tujhe hamd hai khudaya
Tumhi haakin-e-baraya, tumhi qasim-e-ataaya
Tumhi dafae balaya tumhi shafae khataya
Koi tumsa kaun aaya
Wo kanwari paak maryam, wo nafakhto feehe kaadam
Hain ajab nishaan-e-aazam, magar aamena ka jaaya
Wo hi sabse afzal aaya
Yahi bole sidra waale, chaman-e-jahan ke thaale
Sabhi maine chhaan daale tere paaye ka naa paaya
Tujhe yakne yak banaya
Are ae khuda ke bandon, koi mere dil ko dhundo
Mere paas tha abhi to, abhi kya hua khudaya
Na koi gaya na aaya
Humko ay Raza tere dil ka pata chala ba mushkil
Darr-e-rouze ke muqabil wo hame nazar to aaya
Ye na puchh kaisa paaya

No comments
Post a Comment