Varasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho
Kiije hamare saath adavat hi kyun na ho
Chhoda na mujh mei zoaf ne rang ikhtilat ka
Hai dil pe baar naqsh-e-mohabbat hi kyun na ho
Hai mujh ko tujh se tazkira-e-ghair ka gila
Har-chand bar-sabil-e-shikayat hi kyun na ho
Paida hui hai kahte hain har dard ki dava
yun ho to chara-e-gham-e-ulfat hi kyun na ho
Daala na be-kasi ne kisi se muamla
Apne se khinchta hun khajalat hi kyun na ho
Hai aadmi bajae khud ik mahshar-e-khayal
Ham anjuman samajhte hain khalvat hi kyun na ho
Hangama-e-zabuni-e-himmat hai infial
Hasil na kiije dahr se ibrat hi kyun na ho
Varastagi bahana-e-bagangi nahin
Apne se kar na ghair se vahshat hi kyun na ho
Mit'ta hai faut-e-fursat-e-hasti ka gham koi
Umr-e-aziz sarf-e-ibadat hi kyun na ho
Us fitna-khu ke dar se ab uthte nahin 'Asad'
Us mei hamare sar pe qayamat hi kyun na ho


No comments
Post a Comment