Vaan pahunch kar jo ghash aata pae-ham hai ham ko
Sad-rah ahang-e-zamin bos-e-qadam hai ham ko
Dil ko main aur mujhe dil mahv-e-vafa rakhta hai
Kis qadar zauq-e-giriftari-e-ham hai ham ko
Zof se naqsh-e-pa-e-mor hai tauq-e-gardan
Tere kuche se kahan taqat-e-ram hai ham ko
Jaan kar kiije taghaful ki kuchh ummid bhi ho
Ye nigah-e-ghalat-andaz to sam hai ham ko
Rashk-e-ham-tarhi o dard-e-asar-e-bang-e-hazin
Nala-e-murgh-e-sahar tegh-e-do-dam hai ham ko
Sar udane ke jo vaade ko mukarrar chaha
Hans ke bole ki tere sar ki qasam hai ham ko
Dil ke khoon karne ki kya vajh va-lekin na-char
Pas-e-be-raunaqi-e-dida aham hai ham ko
Tum vo nazuk ki khamoshi ko fughan kahte ho
Ham vo aajiz ki taghaful bhi sitam hai ham ko
Lucknow aane ka baais nahin khulta yaani
Havas-e-sair-o-tamasha so vo kam hai ham ko
Maqta-e-silsila-e-shauq nahin hai ye shahr
Azm-e-sair-e-najab-o-tauf-e-haram hai ham ko
Liye jaati hai kahin ek tavaqqo 'Ghalib'
Jada-e-rah kashish-e-kaf-e-karam hai ham ko
Abr rota hai ki bazm-e-tarab amada karo
Barq hansti hai ki fursat koi dam hai ham ko


No comments
Post a Comment