Us bazm mei mujhe nahin banti haya kiye
Baitha raha agarche ishare huwa kiye
Dil hi to hai siyasat-e-darban se dar gaya
Main aur jaun dar se tere bin sada kiye
Rakhta phirun hun khirqa o sajjada rahn-e-mai
Muddat hui hai davat ab-o-hava kiye
Be-sarfa hi guzarti hai ho garche umr-e-khizr
Hazrat bhi kal kahenge ki ham kya kiya kiye
Maqdur ho to khaak se puchhun ki ai laiim
Tu ne vo gunjha-e-giran-maya kya kiye
Kis roz tohmaten na tarasha kiye adu
Kis din hamare sar pe na aare chala kiye
Sohbat mei ghair ki na padi ho kahin ye khu
Dene laga hai bosa baghair iltija kiye
Zid ki hai aur baat magar khu buri nahin
Bhule se us ne saikdon vaade vafa kiye
'Ghalib' tumhin kaho ki milega javab kya
Maana ki tum kaha kiye aur vo suna kiye


No comments
Post a Comment