Teri surat jo dil-nashin ki hai
Ashna shakl har hasin ki hai
Husn se dil laga ke hasti ki
Har ghadi ham ne atishin ki hai
Subh-e-gul ho ki sham-e-mai-khana
Madh us ru-e-naznin ki hai
Shaikh se be-hiras milte hain
Ham ne tauba abhi nahin ki hai
Zikr-e-dozakh bayan-e-hur o qusur
Baat goya yahin kahin ki hai
Ashk to kuchh bhi rang la na sake
Khoon se tar aaj astin ki hai
Kaise manen haram ke sahl-pasand
Rasm jo ashiqon ke diin ki hai
'Faiz' auj-e-khayal se ham ne
Asman sindh ki zamin ki hai


No comments
Post a Comment