Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazar mile
Huran-e-khuld mei teri surat magar mile
Apni gali mei mujh ko na kar dafn ba-e-qatl
Mere pate se khalq ko kyun tera ghar mile
Saqi-gari ki sharm karo aaj varna ham
Har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile
Tujh se to kuchh kalam nahin lekin ai nadim
Mera salam kahiyo agar nama-bar mile
Tum ko bhi ham dikhaen ki majnun ne kya kiya
Fursat kashkash-e-gham-e-pinhan se gar mile
Lazim nahin ki khizr ki ham pairvi karen
Jaana ki ik buzurg hamen ham-safar mile
Ai sakinan-e-kucha-e-dildar dekhna
Tum ko kahin jo 'Ghalib'-e-ashufta-sar mile


No comments
Post a Comment